Thursday 26 May 2016

Mix pakode Recipe in Hindi

Bohot kum din hotye hai jub ,humare puri family saath hotye hai .Puri family jub shaam ke chaiye kai time saath hoto chaiye peene ka sawad bad jata hai.Aur agar chaiye kai saath pakode hoto chaiye pene kai majaa aur bhi bad jata hai.

Pakode me sub se auchi baat ye hotye hai ki is me aap apne marji ki subzi daal sakte hai jaise aloo pyaaz paneer gobhi mirch kai bana sakte hai .Ye bahot hi easy hotye hai banane mai aaye banantye hai apne famliy kai liye garmagarm pakode.


 Samagari-Ingredients

  • Besan - 240gm
  • Namak - 2spoon
  • Baking soda - 1/2spoon
  • Aloo - 3-4 (patale gool katye huye)
  • Hari mirch - 2(motiye walee)
  • Pyaaz - 3 (patle gool katye huye)
  • full gobhi - 2(katye huye)
  •  Paneer - 250gm
  • Paani - awashakta anusar.
  • Tail - Talne kai liye

Vidhi-Recipe

1. Ek kadai lee.
2. Ab is me tail daal kar garam ki jiye.
3. Ek baratan lee jiye usme apne awaskta anusar besan aur paani  daal kar ghol bana lee jiye.
4. Ab isme namak mirch amchur garam masal  baking soda daal kar auchi tarah se ghol bana lee jiye.
5. Ab isme sabhi katye huye sabziya ,aur paneer daal de jiye aur auchi tarha se mila de jiye.
6. Ab garam tail me ek -ek kar kai daaliye.
7. Pakode ko karcchi ki sahayata se dono taraf palat lee  jiye.
8. Pakde ko tub tak taliye jub tak ye sunhare aur kurkuraye na ho jaye.
9. Ab inko kadai me se nikal kar garama garam parosiye.

No comments:

Post a Comment