Friday 20 May 2016

Chatpata Dhokla Recipe In Hindi

Aapne dhikha hoga ki hum jub dhokla banate hai to usme daal chawal ka priyog karte hai.Usko banane me bahot time lag jata hai .Agar aapko apne family ko instnat dhokla bana kai khilana hai to banaye chatpata dhokla.


Samagari-Ingredients




  • Besan-2cup.
  • Sooji-2cup.
  • Adrak paste-1spoon.
  • Hari mirch paste-1/2 spoon.
  • Ino powder-1 spoon.
  • Shakkar-3spoon.
  • Namak-sawadannusar.
  • Soult-1spoon.
  • Haldi-1/2 spoon.
  • Tail-chok kai liyee.
  • Rai kai daane-garnish kai liye.
  • Dahi-1cup


Vidhi-Recipe


1.Kisi bartan me besan,sooji aur faite huye dahi ko mila kar uska ghol banaye.

2.Ab ek thali lee usme thoda sa tail ko puri thaliye me faila de.

3.Besan wale misharan me friut soult milaye.

4.Ab ek bada sa bartan lee usme 2 gilaas paani daal kar usse gas par rakh de jiye.

5.Ek jali ka stand le kar us kai upar rakh de jiye.

6.Ab us besan wale misharan me ino daal kar auchi taraha se milaye.

7.Ab is misharan ko tail waliye thali par daal kar failaye.

8.Thali ko us jali kai upar rakh de jiye.

9.Ab isse dhak de jiye.

10.Taj gas par ab isse 20min tak pakane de jiye.(aap dhoklaye ko becch becch me kisi chaku ki madat se dhikh sakte hai ki dhokla paka ya nhi,agar dhokla chaku par chipkta hai to abhi aapka dhokla nhi bana agar wo nhi chipakta to aapka dhokla ban chuka hai).

11.Ab gas off kar de jiye.

12.Ab dhokale ko nikal kar usse thanda hone dee jiye.

13, Chaku ki sahIyta se thali me se nikal lee jiye.

14.Ab chaku se dhkle ko apna man pasad aakar de jiye.

Tadka kaise banaye


1 Ek choti kadahi  lee.

2.Ab 1 spoon tail daliye usse garam hone de jiye.

3.Ab is me rai kai daane aur hari mirch daale.

4.Ab is me ek choti katori paani daale.

5 Ab kadai me chini aur namak daal de jiye.

6.Ab ubaal aane kai baad gas off kar de jiye.

7.Ab is tadkai mai ek nimboo ka ras milaye.

8.Ab is tadkai ko dhokle kai sabhi hisse par daliye.

9.Ab is dhoklaye ko nariyal ki chatni kai saath parosiye.

No comments:

Post a Comment