Monday 16 May 2016

Malpua Recipe in Hindi

Malpua kayi gharo me baneye  wala aisa pakawan hai jo bahot hi jaldi bana jata hai. Ye khane me jitna taste hota hai utna hi helthy bhi hota hai. Rajasthan me to malpua me mawaa mila kar mawaa malpua banaya jata hai.


Samagari - (Ingredients)


  • Maida-1 cup
  • Malai -1 cup
  • Dudh-1/2 cup
  • Shakkar-1 cup
  • Paani-1/2cup
  • Ghee-talne kai liye
  • Dried friut - sajane kai liye. 

Vidhi ( Banane ka tarika ) Recipe


1 .Maida , malai aur dudh milaa kar miksar se auchi tarah fat kar rakh dee.

2.  Shakkar me paani milakar cashani banane ke liye anch par chaha dee.

3. Flat pan me ghee garam kare.

4 Madham anch par malpua kai ghoal ko spoon se thoda-sa daal kar dikhaye.

5. Yaadi jiyada falta hai to thoda sa maida milaa lee.

6. Yaadi aas- pass jhili nhi pad rahe ho to ghoal me dudh milaa kar thoda patala kar lee.

7. Malpua tal kar chasani me daal kar ualat-palat lee.

8. Malpua ko turant nikal lee.

9. Dried fruit powder se sajaye.

No comments:

Post a Comment