Tuesday 31 May 2016

Baingan-Sem Ki Sabzi Recipe in Hindi

Aap sub jaantye hi ho ki aaj kal kai chote-chotye bacche ghar ki banaye hari sabzi khush ho kar nhi khatye  bahar ka junkfood bahot khatye hai. Jo ki un kai health kai liye bahot kharab hota hai baccho ko ghar ki banaye hari sabzi khilane kai liye aapko sabzi ko naye naye roop de jiye jissai sabzi me rang birange dikhye aur wo khane kai liye turant tiyar ho jaye aur bade maje lee kar khaye.

Baingan -sem ki sabzi recipe in hindi

Samagari - Ingredients

  • Sem ki faliyaa - 250 gm.
  • Baingan - 125 gm.
  • Pyaaz - 3 (bade aakar ki).
  • Adrak - 1 tukada.
  • Jeera - 1 spoon.
  • Dhaiya powder - 1 spoon.
  • Haldi powder - 1/2 spoon.
  • Garam masala - 1 spoon.
  • Hing - 1/4 spoon.
  • Laal mirch powder - 1/4 spoon.
  • Tail / ghee - awasaktaanusar.
  • Namak - sawadanusar.

Vidhi - Recipe


1. Baingan wa sem ki faliyo ko auchi tarah dho kar saaf kar lee jiye, aur usse katye.

2. Pyaaz,adrak wa hari mirch ko dho kar saaf kar  kai kaat lee jiye.

3. Ab ek kadai lee usme ghee/tail daal kar garam ki jiye, jaise hi tail/ghee garam hota hai usme hing wa jeera daaliye.

4. Ab isme pyaaz,adrak,daal kar sunhaira hone tak bhune.

5. Jaise hi sunhaira ho jata hai usme haldi, dhaniyaa powder, laal mirch, wa namk,daale, ab thoda sa paani daal kar bhunee dee.

6. Jub masala tail /ghee chodne lagee tab sabzi daal de jiye auchi tarha milaye aur uspe paani ka halk sa chita dee.

7. Mandi anch me pakne dee,jub sem aur baingan auchi tarha gal jaaye to auchi tarha bhunkar anch se utaar lee.

8. Ab garma garam rotiye kai saath paroseiye.

No comments:

Post a Comment