Sunday 12 June 2016

Palak Ka Raita Recipe in Hindi

Hum sub raite ko ek sawad kai roop me khatye hai.  Kiya aapko pata hai ki ye humare paachan ko bhi badhata hai haanji raita huamare pachan ko bhi bhadhata hai.  Har raita ka suwad alag sa hota hai khane kai saath hume raita jarur khana chahiye aaye banatye hai palak ka raita.

Palak Ka Raita Recipe in Hindi

Samagari -Ingredients


  • Palak -3 cup.
  • Faitye huye dahi - 4 cup.
  • Laal mirch powder - 1/4 spoon.
  • Namak - sawadanusar.
  • Kala namak -1/4 spoon.
  • Kali mirch powder - 1/4 spoon.
  • Bhune huye jeere ka powder-1/4 spoon.

Vidhi -Recipe

1. Sabse pahle palak ko dho kar  saaf kar kai baarik kaat kar jaara sa paani daal kar ubaal lee.

2. Aise karne se palak ki patya mulayam ho jaye ge.

3. Ab faitaa huaa dahi me ubala huaa aur thanda kiya huaa palak ,kali mirch,namak,aur jeera powder daal kar auchi tarah milaye.

4. Ab raita ko thanda hone  kai liye firger me rakh dee.

5, Parosane se pahle upar se laal mirch powder bhurak de aur sajaaye.

No comments:

Post a Comment