Thursday 30 June 2016

Aloo Ka Kofta Recipe in Hindi

Aaj hum banaye gaye aloo kai kofta. Ye kofta ek sabzi kai roop me bhi khilaye ja saktye hai. Ye khane me bahot hi testy hotye hai. Agar aap apne family ko aloo ki sabzi khila kai bor ho chuki hai to aaye unhai aloo kai kofta ki sabzi bana kai khilatye hai.

Aloo Ka Kofta Recipe in Hindi

Samagari - Ingredients

  • Aloo - 500 gm(ubale huye).
  • Dahi - 250 gm.
  • Tail (oil) - 100 gm.
  • Mirch powder - 1/2 spoon.
  • Jeera powder - 1/2 spoon.
  • Dhaniya powder - 1/2.
  •  Jeera sabut - 1/2 spoon.
  • Haldi - 1/2 spoon.
  • Garam masala - 1/2 spoon.
  • Sonth powder - 1/4 spoon.
  • Besan - 1/4 spoon.
  • Daal chini - 1 tukada.
  • Haraa dhaniya - 1/2 cup(barik kata huaa)
  • Namak - suwadanusar.

Vidhi - Recipe



1. Dahi ko kisee barik kapde mai bandh kar khutiye par latka dee,nichye ek bartan rakh dee taki dahi se nikalne wala paani usme ekhata hota rahe.

2. Ubleye aloouo ko masal kar isme besan milaa kar auchi tarah milaye.

3. Ab dahi mai thodiye se laal mirch,thoda sa namak aur thoda sa garam masala milaa kar dahi ko auchi tarah feteye aur ise aloo besan kai misharan me daal kar spoon se chlaa - chlaa kar eksaar kar lee.

4. Ek pan me 50 gm tail(oil) daale aur auchi tarah garam karke bakiye mishran kai golakaar pakode tal lee.

5. Pakodo ko dhakan se dhak kar alag rakh dee.

6. Ek kadai lee usme baki ka tail(oil) daal kar garam karye, ab usme daal chini wa jeera daal kar chatkaa lee,ab dahi ka paani chok dee aur baaki sabhi masale,laal mirch,pisa jeera,garam masala,sonth wa haldi daal kar chlaa dee.

7. Ek ubaal aane par taliye huye kofte daal dee aur dhimi anch par pakne dee.

8. Kuch gadhiye ho jaye to dhaniya patye daal kar utaar lee.

9.Ab isse garam garam parosiye

No comments:

Post a Comment