Friday 10 June 2016

Falafel Seanks Recipe in Hindi

Falafel seanks ek alag tarah ki dish hai. Ye chano ko pees kar banye jatye ye bahot hi postik hotye hai. Aaye banatye hai seanks ko naya roop ditye huye falafel seanks.

Falafel Seanks Recipe in Hindi

Samagari - Ingredients

  • Chane - 250 gm ( kabuli ubaliye huye).
  • Tamartar - 2 ( barik katye huye).
  • Pyaaz - 2 ( barik katye huye).
  • Haree mirch  - 8( barik katye huye).
  • Haraa dhaniya - 1 cup.
  • Jeera powder - 1/2 spoon.
  • Namak - sawadaanusar.
  • Nimboo - 1.
  • Bread  - 3.
  • Tail - talne kai liye.

Vidhi - Recipe

1. Sabse pahle ubale huye chano ko pees lee.

2. Iskai baad isme katee pyaaz.hari mirch,tamatar,dhaniya,namak,jeera powder,nimboo ka rass daal kar auche se milaa lee.

3. Ab isme thoda chat masala bhi milaa saktye hai.

4. Yahai is dish ko aur bhi suwaad bana de gaa.

5. Ab is paste ki choti - choti tikki banaa lee.

6. Isse aloo ki tikki ki shape dee sakte hai.

7. Iskai baad tikki par bread ki koting kar de.

8. Ab ek kadai lee usme tail daal kar garam ki jiye jaise hi tail garam ho jata hai usme bread koting ki huye daaliye aur taliye.

9. Iskai bhuraa hone tak bhune aur pudine ki chatni kai saath parosiye.

No comments:

Post a Comment