Sunday 3 July 2016

Hari Mirch Ka Achar Recipe in Hindi

Aaj hum banaye gaye hari mirch ka achar . Jitna humye teste khana pasand hota hai.  Utna hi humaye teste achar pasand aata hai. Tikha khanye walo ko hari mirch ka achar bahot hi pasand aata hai. Khane kai saath agar aucha hoto khanye ka suwad aur bhi bad jata hai. Chaliye suwad ko chakhatye huye banatye hai hari mirch ka achar.

Samagari - Ingredients


Hari Mirch Ka Achar Recipe in Hindi
  • Hari mirch - 2 cup.
  • Nimboo ka ras - 2 spoon.
  • Tail - 4 spoon.
  • Sabut dhaniya powder -3 spoon.
  • Soof powder - 1 spoon.
  • Sarso powder - 1 spoon.
  • Methe powder - 1 spoon.
  • Hind powder -1/2 spoon.
  • Haldi powder - 1 spoon.
  • Namak - 1 spoon.

Vidhi - Recipe



1. Hari mirch ko dho kar usse kise saaf kapde se auchi tarah puch kar uska paani sukha lee jiye.

2. Mirch ko chotye - chotye tukdo mai kaat lee jiye.

3. Ab ek bartan lee jiye usme sabhi masalao kai mishran ko daal kar usme nimboo ka ras daal kar milaa dee jiye.

4. Ab ek kadai mai tail daaliye usse garam ki jiye .jub tail se dhuaa nikal ne lagye gas off kar de jiye.

5. Is garam tail ko masalo waliye bartan mai daal kar milaa de jiye.

6. Katiye huye hari mirch ko is baratan mai daal kar auchi tarah milaa de jiye.

7. Ek saaf martbaan mai is achar ko daaliye,dhakan se band kar de jiye 2 din dhup mai rakhiye.

8. 2 din baad aapka hari mirch ka aucha tiyar hai.

No comments:

Post a Comment