Saturday 16 July 2016

Chanar Pulao Recipe in Hindi

Aaj hum apne family kai liye banaye gaye chan pulao. Is recipe ko aap chapatiye kai saath bhi kha saktye hai. Ya fir aap is dish ko aise bhi kha saktye hai .Ye dish aise hai jisse koi bhi member khane se mana nhi kar sakta. Aap apne baccho ko unkai lunch box mai bhi de sakte hai.

Samagari - Ingredients




  • Paneer - 400 gm ( 1 inch kai tukado mai kada huaa).
  • Basmati chawal - 1.1/2 cup.
  • Ghee - 1.1/2 spoon.
  • Chini - 2 spoon.
  • Pyaaz - 1 ( barik kata hua).
  • Tej pataa - 1.
  • Daalchini - 1 inch ka tukada.
  • Long - 2.
  • Hari elayechi -2.
  • Namak - suwadaanusar.

Chanar Pulao Recipe in Hindi

Vidhi - Recipe.


1. Ek bartan lee usme chawal daal kar auchi tarah dho lee jiye, ab isse sukhne kai liye faila de jiye.

2. Jub auchi tarah sukh jaaye to un mai 1 spoon. ghee chini auchi tarah milaa dee jiye.

3. Non stick induction pan mai 1 spoon ghee garam ki
jiye.

4. Gas ko slow kar kai paneer ko bhune aur alag rakh dee.

5. Bachye ghee ko non stick induction pan mai daale aur pyaaz ko slow gas par sunhara hone tak bhun lee.

6. Non stick induction pan mai bachye ghee mai tej pataa ,daal chini,long aur elaychi daal kar tub tak bhune jub tak ki mahaik na uthane lagye.

7. Chawal milaa kar 2- 3 mintak bhune,3 cup paani ubaal lee,gas ko slow kare aur tab tak pakaye jub tak ki chawal pak na jaaye aur paani khatam na ho jaye.

8. Paneer milaaye,pyaaz daale aur garam garam parosiye.

No comments:

Post a Comment